Posts

Free download Kare most used professional hindi font?

Aaj hum baat karenge un hindi fonts ke bare me jo officially bahut jyada use kiye jate hai.ye fonts aasani se samajh me aate hai or isiliye inka long sentence me use bhi kiya jata hai. In fonts ke bare me ek baat to clear hai ki ye bahut simple hote hai or inko decorative bhi nahi dikhaya jata hai matlab inme bold look ya kisi extra accessories ko add nahi kiya jata hai. In fonts ka adhik upyog sarkari offices jaise electricity or water bord aadi ke bill, official notice bhejne aadi me kiya jata hai.waise to hindi ke Unicode font ka pryog online or official purpose ki hard copy ke print lene ke roop me kiya jata hai lekin kahi-kahi hum dekhte hai ki lgaatar kisi ek hi font ka use karna thoda boaring sa lagne lagta hai or dusre type ke hindi font ka bhi use kahi-kahi kar liya jata hai. Apne topic or uski heading me change karke aap reader ya user ko bahut lambe samay tak special effect dalkar attract bhi kar sakrte hai. Kisi bhi document ki hard copy ya print nikalne ke liye sirf hindi...

Free download "Sanskrit and vedic fonts"???

Sanskrit language ke fonts me hindi ki devnagri lipi ki apeksha adhik matra me aadhe shbad or adhik jagah rokne wale word jyada paaye jaate hai.isiliye jab bhi koi Sanskrit ka shlok likha ya padha jata hai to yeh dekhne me aata hai ki kisi bhi ek shlok ko samany devnagri ki ek hi font wali language me likhna bahut hi mushkil kaam hai. Yaha tak ki Unicode font ka use karne par bhi hamare liye wahi mushkil hogi or wo hi situation banegi.ab question yeh hai ki kya koi aisa tarika bhi hai jisse system me bina kisi galti ke Sanskrit ka shlok as it is likh diya jaye- Iska ek hi samaadhan hai wo ye ki paramparagat hindi devnagri font ki jagah sanskrit font ka adhik use kiya jaye.ji haa ab hum sansrit language me bhi kisi sentence ko aasaani se likh sakte hai.bus iske liye hamare pass perfect Sanskrit font install hona chahiye kyonki brahmi lipi ke sath mangal or Unicode font thoda sa uncomfortable rehta hai. Ab tak humne devnagri hindi font ke liye hindi ke remigton keybord ke hi lay-out ka ...

Free Me Download Kare Anatomy of Hindi Font Design?

Devnagri script ki sabse badi visheshta yahi hai ki hum iski upyogita ko aadtan maan chuke hai matlab yeh hamari habbit me aa chuki hai ,iska sabse bada disadvantage yeh hai ki hum is script ke hum iske technical or scientist factor ko to ignore hi kar dete hai. Kisi bhi script ko deeply janne se us lipi ke bare me detail me or adhik pata chalta hai or uski nayi-nayi baate hamare saamne aati hai.isse us bhasha ke critical words bhi hamari samajh me aate hai or us language ki knowledge or bhi jyada increase hoti hai.neeche di hui anatomy ki image ki help se hum kisi bhi devnagri word ki real situation aasaani se trace kar sakte hai - Upar di gayi image se aapko pata chalta hai ki devnagri me kisi bhi word ko aage ,piche, beech me ya fir matra ke sath likhe jane par uski kya sthiti banegi or us word ka kya mehtv rahega.yeh image kisi bhi word ko base line se upper line tak ki actual place ko show karti hai or sath hi link provide karte huye uska ascending or descending order bhi conform...

Hindi to English Dictionary Offline for Computer?

Yeh ek free dictionary hai jo English ko hindi me convert karne ka kaam karti hai. Description:- Waise to internet par kai dictionary available hai jo English ko hindi me or hindi ko English me convert karne ke liye perfect hai lekin jab hamare pass internet ki facility nahi ho tab hume kisi aise software ki jarorat padti hai jo offline bhi work kare. iska use karna bahut hi aasaan hai. Ek baar iska set up apne computer me download karke aap ise install kar sakte hai.installation ke baad isme internet ki koi aavshykta nahi padti hai.sheel,s dictionary naam ke is software ko softpedia jaisi site se 100 percent virusfree hone ka certificate mila hua hai.Yeh software ab tak kewal dell,hcl,Lenovo jaise desktop par hi chalta hai matlab ise abhi mobile me use karne layak nahi banaya gaya hai.Sheel’s dictionary jaise shbdkosh un sabhi naye users ke liye upyogi hai jinko hindi ye English language sikhni hai . ek student ke liye bhi is software ka bahut use hota hai.inke alawa bhi jaise te...

Free Me Download Kare Most Creative and Calligraphic Hindi Font?

Kisi bhi paint brush se banaya gaya koi text material ek typewriter se accha look deta hai.creativity ko add karne se jo establish pattern hai wo bhi thoda modern ho jata hai.yeh sab nai cheeje hai jo pehle kisi text me newness lane ke liye use nahi ki gayi hai. Kabhi-kabhi hume kisi free hand feel karane wale font ki aavshykta hoti hai jisse user ko bhi ek creative environmental feel hota hai.koi bhi artist yeh test tayaar kar sakta hai.is process me time kam lagta hai or har kisi ke liye aisa font banana mushkil kaam hai.aaj har koi kaam ko teji se or easy way me karna chahta hai.iske liye hum apne font selection ko test karte hai.iske liye hume koi discipline or ready to use type ke font ki bahut aavshykta padti hai. Yaha hum ek aise text ki baat kar rahe hai jo real me creative ho or sath hi usme ek caliagraphic sense ka bhi reflection ho.hume pata hai ki hamaare ab tak use me laye jane wale font complete roop se caliagraphic look nahi dete hai or ye hamare daily use kiye ja rahe ...

Free download kare Corner design font for decorative border?

Decoration kisi bhi festival ya marriage ki ek common activity hoti hai inko important bana deti hai ,specially shaadi ke wo card or gift jo hum ek-dusre ko bhejte hai.or bhi kai prkaar ke banner or papers me hume yeh decorative things dekhne ko mil hi jati hai.kisi bhi paper ya banner ko decorate karne ke liye hum sabse pehle kya karenge. Kisi bhi material ke corner or border par decoration ka waork sabse jyada note kiya jata hai or inse hi kisi printed paper ko attractive look milta hai.sabse pehle saavdhani se koi bhi design select kare.iske baad font ka sahi selection karke hum apna kaam adhik teji se kar sakte hai.iske baad hum in design par aasaani se kaam kar sakte hai. Font ka use karne ke baad bhi hum kisi shadow effect ke roop me ise use le sakte hai.font ka use karne ka sabse bada benefit to yahi hai ki hum aasani se is font jaise or bhi kai design par kaam kar sakte hai.Yeh decorative design or creativity aap aasaani se pryog kar sakte hai. Yaha maine vector design ke liye...

Color font extension - font ki history me nayi generation.

Ab kisi bhi window ya operating system ke liye colour font free me download kare. Jaisa ki aap sabko pata hai ki june-2013 me Microsoft build developer k ek sammelan me khulasa hua tha ki, window 801 me preview open type font standard ke sath aata hai jo multi-colour fonts available karwata hai.yeh technogy simple or powerful dono hi type ke multilier glyfs ka use bhi karti hai or scable outlines me hota hai.yeh kisi any character ki tarah render or process karta hai.bus isme every layer ka ek apna colour hota hai. Is colour extension ki sabse badi beauty yahi hai ki yeh kisi any fonts ki tarah kaam karna lgaatar jari rakhta hai jabki dusre sabhi fonts me yeh device or systems support nahi karte hai. Or abhi tak aise colour font banaye bhi nahi gaye hai.lekin fir bhi hum window 8.1 me inhe get and use kar sakte hai.yadi aapke pass bhi window 8.1 hai to aap bhi puri tarah in fonts ka use kar sakte hai.jabki isse pehle ka operating system kewal ek hi color font ka use kar pata tha.k...