Posts

Showing posts with the label Logo Design

Free download Kare most used professional hindi font?

Aaj hum baat karenge un hindi fonts ke bare me jo officially bahut jyada use kiye jate hai.ye fonts aasani se samajh me aate hai or isiliye inka long sentence me use bhi kiya jata hai. In fonts ke bare me ek baat to clear hai ki ye bahut simple hote hai or inko decorative bhi nahi dikhaya jata hai matlab inme bold look ya kisi extra accessories ko add nahi kiya jata hai. In fonts ka adhik upyog sarkari offices jaise electricity or water bord aadi ke bill, official notice bhejne aadi me kiya jata hai.waise to hindi ke Unicode font ka pryog online or official purpose ki hard copy ke print lene ke roop me kiya jata hai lekin kahi-kahi hum dekhte hai ki lgaatar kisi ek hi font ka use karna thoda boaring sa lagne lagta hai or dusre type ke hindi font ka bhi use kahi-kahi kar liya jata hai. Apne topic or uski heading me change karke aap reader ya user ko bahut lambe samay tak special effect dalkar attract bhi kar sakrte hai. Kisi bhi document ki hard copy ya print nikalne ke liye sirf hindi...

Free Me Download Kare Anatomy of Hindi Font Design?

Devnagri script ki sabse badi visheshta yahi hai ki hum iski upyogita ko aadtan maan chuke hai matlab yeh hamari habbit me aa chuki hai ,iska sabse bada disadvantage yeh hai ki hum is script ke hum iske technical or scientist factor ko to ignore hi kar dete hai. Kisi bhi script ko deeply janne se us lipi ke bare me detail me or adhik pata chalta hai or uski nayi-nayi baate hamare saamne aati hai.isse us bhasha ke critical words bhi hamari samajh me aate hai or us language ki knowledge or bhi jyada increase hoti hai.neeche di hui anatomy ki image ki help se hum kisi bhi devnagri word ki real situation aasaani se trace kar sakte hai - Upar di gayi image se aapko pata chalta hai ki devnagri me kisi bhi word ko aage ,piche, beech me ya fir matra ke sath likhe jane par uski kya sthiti banegi or us word ka kya mehtv rahega.yeh image kisi bhi word ko base line se upper line tak ki actual place ko show karti hai or sath hi link provide karte huye uska ascending or descending order bhi conform...

Free download kare Corner design font for decorative border?

Decoration kisi bhi festival ya marriage ki ek common activity hoti hai inko important bana deti hai ,specially shaadi ke wo card or gift jo hum ek-dusre ko bhejte hai.or bhi kai prkaar ke banner or papers me hume yeh decorative things dekhne ko mil hi jati hai.kisi bhi paper ya banner ko decorate karne ke liye hum sabse pehle kya karenge. Kisi bhi material ke corner or border par decoration ka waork sabse jyada note kiya jata hai or inse hi kisi printed paper ko attractive look milta hai.sabse pehle saavdhani se koi bhi design select kare.iske baad font ka sahi selection karke hum apna kaam adhik teji se kar sakte hai.iske baad hum in design par aasaani se kaam kar sakte hai. Font ka use karne ke baad bhi hum kisi shadow effect ke roop me ise use le sakte hai.font ka use karne ka sabse bada benefit to yahi hai ki hum aasani se is font jaise or bhi kai design par kaam kar sakte hai.Yeh decorative design or creativity aap aasaani se pryog kar sakte hai. Yaha maine vector design ke liye...

Wedding ke liye symbol or font download kare?

Image
Aajkal decoration kisi bhi Indian marriage ka sabse important part banta chala ja raha hai. Shaadi me log Log apne ghro se lekar,garden,vehicles,open-space or sadak tak sab kuch decorate karte hai. kuch log apne house ki wall par unique or beautiful paintings bhi banwate hai. yaha tak ki invitation card par bhi aise symbol print karwaye jaate hai. ganesha symbol ke alawa or bhi kai best symbols hai jo in sabko dekhne me sundar look dete h. Mujhe shaadi ke symbol se related ek shaandaar font mila hai jisme shaadi ke bahut saare traditional design hai. inme se most hai-deepak, kalash, dholak or swastika aadi.ye sab symbol kisi printed material ko shaandar look de dete hai jaisekisi marriage ka invitation card par print hota hai.. Iske liye aapko bus yeh font download karna hai or apne system me install karna hai. iske baad aap is symbol font ka use karke bina kisi image ka use kiye aasani se apne effect dikha sakte hai. is font ka use karke aap sabse pehle iska size set kare .isme aap...

Push and Pull Stickers in Hindi?

Image
Ab Aap bhi apne glass ke darwaje par push or pull ke text ko naya look de sakte hai.yeh sabhi offices jaha hindi ka use common roop me hota hai, waha bahut upyogi tarika hai.yaha hindi style ka ek pura collection diya gaya hai jo bahut useful hai.inme se kuch to dono hi language hindi or English ke liye bane hai.isme push or pull par dono hath bane huye hai or yeh isi ke liye symbol bhi hai. In stickers ko hum teen category me divide kar sakte hai.inme round, square or hanging type ka sticker adhik chalan me hai. latkate huye sticker par to round or square dono ka hi use kahi bhi kiya ja sakta hai.restourent or shopping palace par iska adhik effect padta hai.ye sabhi images 2500 pxs se adhik hai jo premium print me dekhne par awesome lagte hai. In images ko save bhi kiya ja sakta hai or inki print bhi le sakte hai.high quality ka vector high resolution or accha pixel deta hai.aap jis sticker ka bhi use karna chahte hai wo image click karte hi wo size me inlarge ho jayegi or phir aap i...

Free download "Hindi fonts" for logo design.

Image
Aajkal Kisi bhi type ka logo design karna ek creative or bahut hi mushkil kaam ho gaya hai .hume apne kisi bhi naye start-up ke liye ek acche se design wale LOGO ki talaash rehti hi hai.ek good LOGO wahi mana jata hai jise dekhte hi users par positive prbhaav pade.yeh kisi bhi company ke bare me batayi jane wali pehli jhalak hoti hai jise dekhkar user ke man me ek image banti hai. .kai saare artist hai jo market me roj bahut saare start-up or companies ke liye LOGO design karne me lage huye hai.  Inme se kuch awesome logo bhi hote hai jo devnagri fonts ke upyog se banaye gaye hai lekin agar hum simple se lagne wale boards or hordings par bahut jyada paisa kharch nahi karna chahte hai to hume devnagri ke kisi impressive font ko hi select karna padega. hindi language ke liye kisi bhi randon font ka use karna bahut hi sasta tarika lagta hai jo purana bhi ho gaya hai . Yaha kuch font diye gaye hai jo hamare daily life me bahut hi common use hote hai .inki hi type ke kuch other hindi...