Free download "Sanskrit and vedic fonts"???

Sanskrit language ke fonts me hindi ki devnagri lipi ki apeksha adhik matra me aadhe shbad or adhik jagah rokne wale word jyada paaye jaate hai.isiliye jab bhi koi Sanskrit ka shlok likha ya padha jata hai to yeh dekhne me aata hai ki kisi bhi ek shlok ko samany devnagri ki ek hi font wali language me likhna bahut hi mushkil kaam hai.
Yaha tak ki Unicode font ka use karne par bhi hamare liye wahi mushkil hogi or wo hi situation banegi.ab question yeh hai ki kya koi aisa tarika bhi hai jisse system me bina kisi galti ke Sanskrit ka shlok as it is likh diya jaye-
Iska ek hi samaadhan hai wo ye ki paramparagat hindi devnagri font ki jagah sanskrit font ka adhik use kiya jaye.ji haa ab hum sansrit language me bhi kisi sentence ko aasaani se likh sakte hai.bus iske liye hamare pass perfect Sanskrit font install hona chahiye kyonki brahmi lipi ke sath mangal or Unicode font thoda sa uncomfortable rehta hai.
Ab tak humne devnagri hindi font ke liye hindi ke remigton keybord ke hi lay-out ka use kiya tha.lekin jab hum type karte hai to is font ke alawa bhi hume kruti,devil ya mangal font kea lag-alag lay-out ki aavshykta paadti hai.devnagri ka use karne wale kisi bhi user ke liye yeh ek common si problem hai ki font ki har series ke sath hi keybord ka lay-out bhi badal jata hai.
Shlok likhte samay Unicode font ke sath aane wali samasya-
Jaisa ki humne pehle hi bata diya hai ki devnagri ke alawa Sanskrit bhasha me adhik matra wale or adhik space cover karne wale word adhik hai,kyonki hindi Unicode ki devnagri ka dhyaan rakhkar design kiya gaya hai isliye hume kisi special alphabet ko type karte samay aisi problem ko face karna padta hai.
Yaha metro or half word ka adhik use hone se isme mistake ke chance badh jaate hai.or aadhe words ke sath kisi sentence ko padhna bahut hi mushkil ho jata hai.

Krutidev font ka use karna:

Yeh option mangal font se kafi behtar hai. Lekin phir bhi yeh hamari sari requirement par khara nahi utarta hai.kuch common or easy Sanskrit ke shlok ke liye to hum kruti dev font ka use kar sakte hai par yeh 100 percent sahi nahi hai or jaise hi hum koi vedic shlok likhne ki koshish karte hai to yeh problem fir se hamare saamne aa jati hai.
Sanskrit or vedic complain font:- all type ke test kar lene ke baad yeh Sanskrit writer ke font upload kiye gaye hai.or jab aap inka use karenge to matra ya half word ki mistake kahi bhi nahi aa paayegi.
Sanskrit or vedic se related printing ke work ke liye yeh font use kare.
Font Download Kare:
Download Sanskrit font package (6 fonts)
Download Vedic font package (4 fonts)
iske liye official site yaha visit kare- here.
Computer par Sanskrit ka display enable karne ke liye yaha click kare-click here.
Keybord-layout:-
Typing karte samay keybord lay-out kisi bhi naye user ya fir kisi learner ka time waste hone se bachata hai.sanskrit ke liye keybord layout hai-SD TT-SUREKH

Related meanings:

Comments

Popular Posts

Final Number निकालने का Best तरीका | Final Ank Ki Best Theory???

Matka Ank Nikalne Ka Best Formula | हर दिन एक अचूक अंक कैसे ले सकते है???

Satta Matka की Tips and Tricks में जाने Date Fix Jodi कैसे निकलती है

Matka Number Formula ! Matka Calculation Tips and Tricks???