Kuch English Ke Font Jo Hindi Ki Tarah Dikhane Wale Hai?

English font that look like hindi - हिंदी की तरह दिखने वाला अंग्रेजी फॉन्ट?

Yaha me aapko kuch latin font dikhane ja raha hu jo apne aapme devnagri ka design dikhate hai.yeh bahut hi famous font hai jo dekhne me bilkul hindi ki tarah lagte hai lekin hai ye angreji me hi, or inki demand bhi bahut jyada hai.
Devnaagri style ke in fonts ka use mukhy roop se decorate karne , Indian history ka effect dikhane or art dikhne ke liye kiya jata hai.
Bahut jagah is font ka use kiya jata hai. Inme sabse jyada yeh kisi book ka name likhne,Sanskrit or hindi language se related kitaabe or kisi store ya fir showroom ka naam likhne me adhik kiya jata hai.
Yaha hum dekh sakte hai ki showroom ka naam ek samkaran naam ke font se likha gaya hai. Is font ki ek mukhy visheshta yeh hai ki isme ek samaan line hoti hai jo sabhi words ko hindi font se jodkar dikhati hai .yeh line hindi font ke roop me pure shbd ko jode rakhti hai or iski sundarta badhaati hai.
Is font me ek or vishesh baat hai jo user ko bahut hi attract karti hai wo yeh hai ki isme bane saare hindi letter traditional curve yani ghumaav me hi paaye jaate hai .line ki motaai alag-alag hone par bhi iska gol aakaar ek samaan hi hai .
Is font me ek hi glyf di gayi hai jo ki upar or neeche dono hi cause me assign kiye gaye hai. Is prkaar yadi aapko kisi upper-case me sentence ki shuruaat karni hai to aap isme sajawat nahi kar sakte hai,is tarah se kool milakar dekha jaye to yeh hindi ke purpose ke liye bahut hi accha font mana ja sakta hai.

Commonwealth games me samkaran font ka use:-

Rashtramandal games me bharat ne glasgo me skvash ke game me apna pehla medal jeeta tha. Yaha gour karne wali vishesh baat yeh thi ki dono players –joshna chinnpa or dipika pallikal ki jarsi par isi samkaran font font ka istemaal hua tha. Players ke backside me jo country or unke players ke naam likhe gaye they wah isi font ka pryog kar likhe gaye they.
Recently maine yeh note kiya hai ki yeh font Indian region ke national geographic channel aadi ke liye bhi use kiya gaya tha.

For Download this font :-

1) samarkan font
devnagri ke sath adhik use hone wala font hai.
Iska preview hai-

Download samarkan font
Samarkan Normal
and
Samarkan Oblique
2) ananda Namaste font
Anand k maharajan ke sundar or rachnatmk font collection me se ek-

Download anand Namaste-
Ananda Namaste :
Font Name : Ananda
Namaste Family Name : Ananda Namaste
Sub Family Name : Regular
ZIP File Size : 31.17 KB

Related Articles:

Comments

Popular Posts

Final Number निकालने का Best तरीका | Final Ank Ki Best Theory???

Satta Matka की Tips and Tricks में जाने Date Fix Jodi कैसे निकलती है

Matka Ank Nikalne Ka Best Formula | हर दिन एक अचूक अंक कैसे ले सकते है???

Matka Number Formula ! Matka Calculation Tips and Tricks???