Android hindi font desktop computer ke liye?

Android ke gadgets me devnagri aaj bhi ek modern Unicode font mana jata hai. Android mobile ke har featuers or application me isi hindi font ka use bahut hi common roop me kiya jata hai.
Yeh minimal font bahut kam size me bhi dikhne layak hota hai . is font ka pryog kewal android devices me hone ki wajah se iska use sirf un gadgets tak hi simit reh gaya hai jo hamare hand me available hote hai.lekin jab hume personal computer ke liye hindi font chahiye tab kya karna padega-
Jaise hum android me hindi font ka use karte hai theek usi prkaar se window me bhi hindi font ka use aasaani se kar sakte hai.yaha ek true font download karne ke liye free available karaya gaya hai.ab yadi aap ek modern hindi font chahte hai jiska use ab tak kewal mobile or tablet me hota aaya hai wo ab yaha par uplabdh hai.
Iske liye aap sabse pehle Yeh font download kare or fir apne system me ise install kar le, iske baad jo regular devnagri hindi font aap ab tak use karte aa rahe hai uski jagah yeh font select kar le. Normally ab tak win 7 or uska old version devnagri ke default version ko hi use karta aaya hai.agar aap bhi yeh platform use kar rahe hai to notasons devnagri aapke current mangal font ko badal dega.

Agar aap window 8 ya fir 8.1 use kar rahe hai to aapka default devnagri font nirmla U I hai jo dikhne me bhi kafi accha font mana gaya hai, jo ki bahut jyada use me liya ja raha hai. lekin aap yadi win 8 me default font ke roop me notasans ka pryog karke kaam me lete hai to yeh nirmala U I ko ek naya look de dega. 
Ek baar yeh font install kar lene ke baad aap apne internet browser ke sath hi or bhi other place jaise msoffice aadi me is font ka aasaani se pryog kar sakte ho.
Notosans devnagri font do sub-category me divide hai jisme pehla-regular or dusra-bold naam se jana jata hai.

NOTOSANS DEVNAGRI:-

Font name: NotoSans Devanagari, 
zip size: 155.1 KB, Download font.
(Important: Please read attached file before installation).

Related Articles:

Popular Posts

Final Number निकालने का Best तरीका | Final Ank Ki Best Theory???

Matka Ank Nikalne Ka Best Formula | हर दिन एक अचूक अंक कैसे ले सकते है???

Satta Matka की Tips and Tricks में जाने Date Fix Jodi कैसे निकलती है

Matka Number Formula ! Matka Calculation Tips and Tricks???